Friday 16 September 2011

chand pal khushiyo ke

Zindgi bhi badi ajeeb hai kabhi hasaati hai , to kabhi rulaati hai, kabhi ek dam se hi khushiyo ki barish karti hai, to kabhi ek dm se dukho ka kala baadal le aati hai........
















Zindgi bhi badi ajeeb hai.............
Hum insan bhi hamesha khushiyo ke peeche bhagte rahte hai , hum chahte hi nahi ki  ghum ka saya hamari zindgi ko chuye.....hum hamehsa khushiyo ko jada ehmiyat dete  hai.........
Par kabhi socha hai  ki ghum ke baadlo ko cheer kar khushi ka ek boond  aa kar  hamare udaasi bhare chehre pe  khushi ki choti si muskurahat de jata hai to kitna acha  lagta hai ..bhale vo sirf thori der ki khusi hi kyu na ho......
Lekin hume to hamesha se ek badi khusi chahiye ......kushi ke vo do palo ka mazza lena to kabhi seekha hi nahi......Jab ghum aata hai to udaas ho kar baith jate or usi udaasi mei agar koi chand pal ki kushi milti hai to use na kar dete hai...........
Par maine ab udaasi bhare  lamho mei vo chand pal ki khusi ko jeena seekh liya hai......
Or aap sab se bhi kehta hu ki bahle ghum k baadal kitni bhi der aape saath rahe aap kabhi bhi khushi ek badi phuhaar ka intjaar mat karna  agr un ghum k lamho mei khusi ki kuch pal mile to unhe has kar apnayie....or dekhiye ki aapki zindgi bahut hi achi or khushnumaa ban jayegi....













Zindgi badi ajeeb hai....................

Sunday 11 September 2011

chand pal khushiyo ke

Sapne to sabhi dekhte hai , or sabhi chahte hai ki unke sapne sach ho par zadathar sapne toot  jate hai ...or jab sapne tootte hai to dill ko bahut dard hota hai , man karta hai abhi kuch kar baithu or duniya se chala jau.......Par ye dill bahut kamina hai .....kabhi rulata hai to kabhi hasata hai.........Ek pal khushi se jhoomta hai to dusre pal sisak sisak k rota hai..........

Sapne , Maine bhi kayi sapne dekhe the par kuch sach huye to kuch toot gaye, kabhi roya to kabhi hasa ki or bhagwaan se bola ki jo pura hi nahi karna to vo sapne dikhate hi kyu ho,to kabhi sukriya adda kiya ki jo sapna dikhaya use pura  kiya...........Par jab bhi mere sapne toote muje unse kuch sikhne ko milla ki har cheez ka ek sahi waqt hota hai or jab us ka  waqt hota hai to wo pura ho kar hi rahta hai............

Sapne dekho or unhe pura karne ki kosis  karo agar  sapne tootte hai to gham mat karo ye socho ki us toote huye sapne se hume kya seekh mili hai....